Maa bula rahi hai aa mere hussain

- Hussain Ayaaz (2008)


Khaaq sai uttho merai dil kai chain
Maa bula rahi hai Aa merai Hussain

1) Main terai zakhmon pai marham lagaun laal meray
Khullay huwai hain terai gham main dekh baal merai
Huwai hain qalb-o-jigger gham sai paayaimaal merai
Yeh buka suno merai dil kai chain

2) Watan ko chor kai aaya tha is jafa kai liyai
Kai tu taraqta rahay dasht main wafa kai liyai
Bajhay hain' fauj main taashay teri qaza kai liyai
Kaisai zakhm ho merai dil kai chain

3) Gahreeb maa pai koee bhi taras nahi khata
Hai merai haal pai noha kuna yeh Kerbobala
Kaleja kaat diya khanjar-e-laeen nai mera
Uth kai dekh lo merai dil kai chain

4) Gawahi dain'gai merai haath kai paray chaalay
Bari hi chahat sai paala hai gai soo'on waalay
Gahreeb Zehra kai sun lay Hussain yeh naalay
Ab dilasa do merai dil kai chain

5) Zaheef maa ko aisai rulao tashna dahan
Khudara maa mujhay keh ker bulao tashna dahan
Sahay hain' zakhm jo dil per batao tashna dahan
Bas tum hi to ho merai dil kai chain

6) Uttho kai Fatima ka hosala zara dekho
Lahu lahu hai yeh Karbobala zara dekho
Behan kai sar sai giri hai rida zara dekho
Us ko thaamp lo merai dil kai chain

7) Main tujh ko jalti zameen sai uthanay aayee hun
Teri ghareebi pai aansoo bahanay ayee hun
Jo mujh pai beeth gayee woh sunayee hun
Dastaan suno merai dil kai chain

8) Ujaar dala laeeno nai yun chaman tera
Badan pai teer ya teeron pai badan tera
Kahan' sai laaun merai laal ab kafan tera
Khaaq oaur lo merai dil kai chain

9) Sukhan wari ka hunar raayai ga huwa Mazhar (?)
Main Syeda ki fughan likh saka na kaaghaz per
Yeh noha khatam huwa hai Hasan yehi keh kar
Khaaq sai uttho merai dil kai chain