Ye parindey kaha jaate hai
- Sajjad Hallauri (2015)
Ye bayn karti thi zainab se dukhtare shabbir
abhi bhi aankho'n mein yasrab ki hai mere tasweer
rehai milne mein aakhir hui hai kyu takheer
khafa hai aaj talak mujhse kyu meri taqdeer
khuli fiza ke parindey rula rahe hai mujhe
watan ki yaad musalsal dila rahe hai mujhe
dekhti rehti hu...dekhti rehti hu
har roz yahi shaam dhale
ye parindey, ye parindey kaha jaate hai phuphi shaam dhale
ye parindey kaha jaate hai phuphi shaam dhale..(3)
1. Ashiyana hai kahan inka bata do aye phuphi
shab ki tareeki guzarti hai kahan par inki
kyu udaa karte hai...
kyu udaa karte hai ek saath sabhi shaam dhale
ye parindey..(2)
2. Kya hamari tarah ye log bhi hote hai aseer
jaisi hai aaj meri inki bhi hai kya taqdeer
inpa bhi hote hai kya...
inpa bhi hote hai kya zulm phuphi shaam dhale
ye parindey..(2)
3. Dekh kar inko mujhe yaad watan ki aaye
meri aankho'n mein madine ka samaa lehraaye
kaifiyat aisi hi...
kaifiyat aisi hi hoti hai meri shaam dhale
ye parindey..(2)
4. Bhool jaati mai har ek gham ko sukoo paa jaati
unke seene pa yaqeenan mujhe neend aa jaati
kaash aajate mere...
kaash aajate mere baba abhi shaam dhale
ye parindey..(2)
5. Kya batau mai bhala hota hai kya subha masaa
aye phuphi haal bura hota hai nanhe dil ka
yaad aate hi rukhe...
yaad aate hi rukhe sibt e nabi shaam dhale
ye parindey..(2)
6. Kya watan laut ke jaana meri qismat mein nahi
lag raha hai meri qismat hai ye zindaa ki zamee'n
roz ye sochti...
roz ye sochti rehti hu phuphi shaam dhale
ye parindey..(2)
7. In se kehdo ke yaha'n se kabhi guzra na kare
apni aazadi mujhe aake dikhaya na kare
baat ye dukhtare...
baat ye dukhtare sarwar ne kahi shaam dhale
ye parindey..(2)
8. Phir jawaban ye kaha binte ali ne paikar
mai batati hu tumhe aye meri sheh ki dukhtar
apne ghar jaate hai...
apne ghar jaate hai ye log sabhi shaam dhale
ye parindey..(2)