Islam pe ehsaan hai zehra ke bhare ghar ka
- Anjuman e Mohibbane Hussain (2015)
Ehsaa’n hai kate sar ka, ehsaa’n hai khule sar ka
Islam pe ehsaa’n hai, Zehra ke bhare ghar ka
Kya zauq e bandagi hai, sajde mein jaake kehna
Maalik qabool kar le, hadiya jawaa’n pisar ka
Majboor hai ye behna, be-dard Zamana hai
Karne bhi nahi’n deta, maatam ye biradar ka
Be-tegh aaya Gaazi, roka nahi’n kisi ne
Kya faaeda hai zaalim, do laakh ke lashkar ka
Roya kiye hain Aabid, Aashoor se ajal tak
Do chaar ka nahi’n hai, sadma hai bhare ghar ka
Kyon dekhke Asgar ko, tujhko hayaa na aayi
Aye Hurmula bataa kya, dil tera hai patthar ka
Na-mehramo’n ki nazrein, Zainab se bachaane ko
Karne lagaa tilaawat, sar naize pe Sarwar ka
Paaya hai zaanoo Sheh ka, rumaal e Sayyada bhi
Hoga na Hur ke jaisa, sultan muqaddar ka
Be-haal kar diya hai, Aal e Nabi ko tu ne
Kya koi darr nahi’n hai, zaalim tujhe Mehshar ka
Asgar ki maut tak thi, dariya pe pehredaari
Kitna zaleel o badtar, manshaa tha sitamgar ka
Rooh e ‘Salim’ nikle farsh e azaa pe yaa Rab
Ye zindagi to yu’n bhi, sadqa hai bahattar ka