Amma lahu luhaan chaman dekhne chalo
- Anjuman e Mohibbane Hussain (2015)
Zainab ke baazuo’n mein rasan dekhne chalo
Amma lahu luhaan chaman dekhne chalo
Gathhri mein baandh laaya nishaani main bhai ki
Paamaal laash e Ibn e Hasan dekhne chalo
Ammu na paani chaahiye, bus laut aaiyye
Mushkil mein hain garib e watan dekhne chalo
Kis tarah ye ga’nwaara ho gairat ko bhai ki
Khaimo’n ki paasbaa’n hai bahen dekhne chalo
Bachcho’n ki aas tha wo gharaane ka chaand tha
Oos chaand pe bhi aaya gahen dekhne chalo
Chhey maah ke pisar ko main kis tarah izn doo’n
Maa ka nahi’n samhalta hai man dekhne chalo
Aa mere laal teri balaaein utaar loo’n
Waheshi darinde aur ye bun dekhne chalo
Aaye qaraar kaise laeeno’n mein ghir gaya
Masoom mera tishna-dahan dekhne chalo
Beta Abu Turaab ka be-gor o be-kafan
Udd udd ke khaak banti kafan dekhne chalo
Hote hi shaam qaid mein masoom qaidi ko
Reh rehke yaad aaye watan dekhne chalo
Waada hai Sayyada ka ‘Salim’ bakshwaaegi
Mehshar mein aa’nsuo’n ka chalan dekhne chalo