Abbas tum kahan ho
- Anjuman e Mohibbane Hussain (2015)
Gaazi mere baradar Abbas tum kahaa’n ho
Aayi hai raat sar par Abbas tum kahaa’n ho
Aao sahara de do, laasha jawaan ka hai
Kaise uthhaye Sarwar, Abbas tum kahaa’n ho
Zehra bhi aa gayi hai, taakhir na karo tum
Kat’ta hai halq e Sarwar, Abbas tum kahaa’n ho
Jisko nazar milaakar, dekha kabhi na tumne
Uska hai naize pe sar, Abbas tum kahaa’n ho
Gairat ko aap ki ye, tasleem kaise hoga
Khaimo’n mein aaye lashkar, Abbas tum kahaa’n ho
Sholay bhadak rahe hain, maqtal dhuaa’n dhuaa’n hai
Hai khaufnaak manzar, Abbas tum kahaa’n ho
Dar dar phiregi waaris, tat’heer ki ab aise
Sar par na hogi chaadar, Abbas tum kahaa’n ho
Pal bhar ko aa bhi jaao, bachchi ko chayn aaye
Jaao tasalli dekar, Abbas tum kahaa’n ho
Kabze mein tegh hoti, to jaante ye zaalim
Kya hai jalaal e Haidar, Abbas tum kahaa’n ho
Manzil ‘Salim’ aaye, pool e Siraat ki to
Dena sadaa tadapkar, Abbas tum kahaa’n ho