Majlis o matam sikhaya shukriya zainab ka hai
- Anjuman e Mohibbane Hussain (2015)
Zikr e gham ki ibtedaa hi, tazkera Zainab ka hai
Majlis o Maatam sikhaya, shukriya Zainab ka hai
Saat sau kursi nashi’n hai, takht par Ibn e Sitam
Is bhare darbar mein bhi, dabdaba Zainab ka hai
Baarhaa sar Gaazi ka aata hai jaanib farsh ki
Kaise sar naize pe rehta, sar khula Zainab ka hai
Quwwat e baazu e Shabbir, hai Sakina ka chacha
Ye Ali ka mojiza hai, hausla Zainab ka hai
Karbala, bazaar e Kufa, Shaam ka darbar, qaid
Sakhtiyaa’n itni, kaleja phool sa Zainab ka hai
Ek zaeefa mein numaaya hai bahattar ka wajood
Baad e Asr e Gham Haram ko, aasra Zainab ka hai
Har Imam e Waqt ne taa’zim ki jis Bibi ki
Ye Khuda hi jaanta kya martaba Zainab ka hai
Nauha kya ek sher bhi tu likh nahi’n sakta ‘Salim’
Kya teri auqaat ye to, mojiza Zainab ka hai