Aaj har farshe azaa viraan hai

- Anjuman e Mohibbane Hussain (2015)


Aaj har farsh e azaa viraan hai
Hum se rukhsat ho rahe mehmaan hai

Hasrat e girya adhuri reh gayi
Dil mera is baat se hairaan hai

Gham mein rone ko wohi bid’at kahe
Dard e dil se jo abhi anjaan hai

Ahl e bid’at kaise Jannat jaaoge
Goonj maatam ki wahaa’n har aan hai

Aao aakar majliso’n mein jaan lo
Raah e Jannat kis qadar aasaan hai

Saath dete hain faqat mazloom ka
Har Shia ki bas yehi pehchaan hai

Parcham e Abbas, maatam, majlisein
Meri bakshish ka yehi saamaan hai

Lamha lamha dil se nikle Yaa Husain
Meri har dhadkan ka ye unwaan hai

Zurriyat meri likhein Nauhe ‘Salim’
Mere dil me ek yehi armaan hai