Jalta huwa darwaza
- Shajar Naqvi (2016)
Jalta hua darwaza pahlu pe giraya hai.
Ummat ne teri baba kistarha sataya hai.
Pursa tera dene ko aayana koi baba
Har ek ne yatimi ka ehsas dilaya hai.
Jis dar pe salami ko aap aate they aye baba.
Afsos usi dar ko ummat ne giraya hai.
Guzri jo jafa mujh par kis tarha bataoon main.
Har aan laeeno ne haider ko rulaya hai.
Bardasht na kar paya pahluwe shikasta ko.
Jisne dare khaibar ko ungli pe uthaya hai.
Jo baaghey fedak tumne tha mujhko diya baba.
Uske liye zalim ne darbar bulaya hai.
Yoon ajr risalat ka hota hai ada baba.
Ummat ne teri hamko jibhar ke sataya hai.
Rad sari dalilon ko maloon ne kardala.
Jisne meri chaokhat se islam ko paya hai.
Kistarha nawaz apne ashkon kontasalli de.
Zahra ki lahed pe jab aalam ka saya hai.