Abbas chale aao

- Shajar Naqvi (2014)


Abbas abbas chale aao
Zainab ne sada di hai abbas chale aao.
Mahol fasadi hai abbas chale aao.
Rone ki manadi hai abbas chale aao.

Tum jab se gaye bhai zainab ko na nind aai.
Main tumko mere bhai rone bhi nahin paai.
Naamuse mohammad ko ghere hain tamashai.

Asghar bhi gaye mare sarwar bhi nahin baqi.
Qasim bhi nahin baqi akbar bhi nahin baqi.
Kya tumko ye sunna haikhwahar bhi nahi baqi.

Pamal hue lashey naizon pa kate sir hain.
Afsos k maqtal mein uriyan tane athar hain.
Kabe k muhafiz bhi pardes mein be ghar hain.

Furqat mein shahe deen ki rah rah k tadapte hain.
Salare haram aabid hargaam larazte hain.
Nanhi si sakina ko be peer ghudakte hain.

Asghar ki bhi laash aai akbar ki bhi laash aai
Shabbir ki maiyyat pe khud pahonchi hai maajai.
Aur tumneto khwahar ko surat bhi na dikhlai.

Masoom sakina ko durron se aziyat hai.
Sajjad pe harlamha ek taza musibat hai.
Majruh imamat hai majruh shriyat hai.

Toofane masayeb hai maghmum tabiyat mein.
Ham qaid hue bhai zindane musibat mein.
Ham qaid hue bhai is aalame ghurbat mein.

Aye ammu taras khao kahtithi ye roro kar.
Mazluma yatima ki nazrein thi lagi darpar.
Maut aai usey phir bhi kahti hi rahi muztar.

Abbase dilawar se kahti hain ye masooma.
Tum mere muhafiz ho mahfuz karo rauza.
Rauza jo mera tuta phir hoga mujhe sadma.

Abbas k waris na ajayein shajar jab tak.
Gham aale mohammad ka tum karte raho tabtak.
Ye nauha bhi taaza hai bibi ka azim abtak.