Qadam badhta rahe

- Shadman Raza (2016)


Karbala karbala karbala....(2)

Qadam badhta rahe...2
Qadam badhta rahe
Aao karbala ki taraf....

Labo pe ya Hussain ho
             Labo pe ya Hussain ho....
Labo pe ya Hussain ho
             Labo pe ya Hussain ho....
Labo pe ya Hussain ho
Or aankh ashkbaar

Qadam badhta rahe...2
Qadam badhta rahe
Aao karbala ki taraf....

1. Saath leke karbala ke sher ka alam
(Bawafa sipahi ki tarha uthe Qadam)×2
(Yazidiyat ko rond do)×2
(Badhe chalo badhe chalo)×2
Karbala me jis tarha badhe the sheh ke jaanisaar

2. Raah me khade hai saf ba saf malaika
(Tumko dekh dekh kar kahenge marhaba)
(Tum aza ka chain ho)×2
(Zaaere Hussain ho)×2
Tumse milne ke liye hai ambiya bhi bekaraar

3. Shahe deen fatema ka noore ayn ka
(Jis jagah pe lut gaya tha ghar Hussain ka)×2
(Jaha pe sar qalam hua)×2
(Lahu me tar alam hua)×2
Royi nanhi kabr khod ke jaha pe zulfaqaar

4. Jiske bete hogaye shaheed be khata
(Ran me jiski betiyo ki chin gayi rida)×2
(Jo dasht me ujad gayi)×2
(Hussain se bichad gayi)×2
Wo ghareeb maa tumhara kar rahi hai intezaar

5. Bhai ke mazaar par behan ke saath saath
(Ro rahi hai bain kar ke saari kayenaat)×2
(Zami se taaba aasma'n)×2
(Hai ek matami samaa)×2
Hogi har taraf Hussain ya Hussain ki pukaar

6. Yaad saare momino ko dam ba dam rahe
(Karbala pohonch ke har nigaah kham rahe)×2
(Har ek kanize fatemah)×2
(Bol kar rakhe rida)×2
Ye rahe khayal tum Hussain ke ho sogwaar

7. Khoon me tar namaz padh ke shah ne kaha
(Hai yahi baqaye dee'n raza e kibriya)×2
(Ho bar zameene karbala)×2
(Namaz waqt par ada)×2
Dega sajdaye Hussain bi duae beshumaar

8. Har Qadam ho maqsade Hussain ki taraf
(Badh rahe ho akherat ke chayn ki taraf)×2
(Nazar me gohare azaa)×2
(Ho bas raza e kibriya)×2
Ho safar najaf se karbala ka aaj yadgaar

Qadam badhta rahe...2
Qadam badhta rahe
Aao karbala ki taraf....

Karbala karbala karbala....