Ya rab kisi ghareeb ka
- Ali Safdar (2016)
Haaye ghareeb, haaye ghareeb..(2)
Ya rabb, ya rabb, ya rabb..(2)
ya rabb kisi ghareeb ka aisa safar na ho..(2)
barbaadiyo ke waaste..(2) awaaz gar na ho
1. Tayaara saajo sabke liye umr bhar raha
sehra ko jisne khoon se sayraab kardiya
laasha pada ho dhoop mein..(2) koi shajar na ho
ya rabb kisi..(2)
2. Zakhme sina laga to kaleja ulat gaya
akbar ne apne paalne wale ko di sadaa
baba meri phuphi ko..(2) kahin ye khabar na ho
ya rabb kisi..(2)
3. baba ne jiske haatho pe khaiber utha liya
bhai ne jiske mashk mein darya samo liya
kaandhe pe uske laashaye..(2) noore nazar na ho
ya rabb kisi..(2)
4. Har imtehaan sabr se zainab ne seh liya
lekin dayare shaam mein karti rahi dua
athara bhaiyo ki..(2) behan nange sar na ho
ya rabb kisi..(2)
5. Dada ka ye sharaf ke hai maula e kayenaat
aur baap baat ta raha maqtal mein bhi hayaat
kaano me us yateema ke..(2) haye haye gohar na ho
ya rabb kisi..(2)
6. Karbobala mein, kufe mein, bazaar e shaam mein
be parda sar jhukaye ho darbaar e aam mein
kunba kisi ghareeb ka..(2) yu darr ba darr na ho
ya rabb kisi..(2)
7. Zainab se sheh ne jab shabe ashoor ye kaha
kal subha tumse hona hai humko bahan juda
wo boli aisi raat ki..(2) ya rabb sahar na ho
ya rabb kisi..(2)
8. Asghar ko dafn karke ye shabbir ne kaha
paani ke badle rann mein lahu tera beh gaya
asghar dua ye kar teri..(2) maa aaj ghar na ho
ya rabb kisi..(2)
9. Aati yehi dua hai mere lab pe rozo shab
safdar se khush ho aale nabi aur unka rabb
mazloom se to pyaar ho..(2) zalim ka darr na ho
ya rabb kisi..(2)