Fizza ko pata hai
- Sahil Jaunpuri (2016)
Haye sadaat, haye haye shaam..(2)
raaho mein sitam ehle haram ne jo saha hai, fizza ko pata hai..(2)
Be aas aseero ne safar kaise kiya hai, fizza ko pata hai
raaho mein sitam...
1. Jab ehle haram shaam ke bazaar mein aaye
chehro ko chupaye..(2)
kis tarha ta'arruf nabi zaadi ka hua hai, fizza ko pata hai
2. Ye zulm bhi dekha gaya bazaar ke andar
maare gaye patthar..(2)
khoo kis tarha peshaniye zainab se baha hai, fizza ko pata hai
3. Jab abid e beemar se pucha gaya maula
kaha gham the ziyada..(2)
kyu teen dafa rote hue shaam kaha hai, fizza ko pata hai
4. Jab aankho ke aage kabhi aajata tha paani
ashko ki zabani..(2)
jo marsiya shehzadi sakina ne padha hai, fizza ko pata hai
5. Wo margayi zindaan ki tareeki mein guthkar
shabbir ki dukhtar..(2)
kis tarha se abid ne use dafn kiya hai, fizza ko pata hai
6. Jab chut ke haram qaid se yasrab gaye 'sahil'
tha waqt wo mushkil..(2)
kis haal mein sughra se 'raza' kunba mila hai, fizza ko pata hai
raaho mein sitam ehle haram ne jo saha hai, fizza ko pata hai