Hal min nasir

- Ali Deep Rizvi (2014)


Ya hussain ya hussain..(2)
saji hui hai qatl-gaah, bula rahi hai karbala
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

Utho azadaro chalo, hussain dete hai sadaa
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

1. Imam deene nabi bachane ko logo nasir bula rahe hai
magar sue karbala to dekho faqat hi mansoor jaa rahe hai
hussain hasrat se dekhte, sajae koi nainawaa
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

2. Payame karbal hai hashr tak ye jaha ho zalim ka zulm barpa
hussain walo pe farz hai ke dikhae kirdaar shah jaisa
luta ke ghar ko deen pe, nibhaye aise jo wafa
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

3. Hai abhi saare jaha'n mein logo banu umayya ke zulm jaari
ho shaam karbal ho ya khorasaa bapa hai har su tabaah kaari
hai charo janib se momino, ki aarahi hai ye sadaa
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

4. Imam e awwal ki baat haq hai ke aaj batil jude hue hai
magar jo pairo hai aaj haq ke safo mein apni bikhar chuke hai
na fiqro maqsad ka pata, labo pe hai bus ye buka
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

5. Imam e hujjat bhi muntazir hai ke kab ye millat sajaye maida'n
qasam khuda ki usi hi din phir zahoor e maula ka hoga ailaa'n
sadaye ghaibat se de rahe, hai muntaqeem e karbala
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

6. Kata ke gardan ko raahe haq mein shahadato ka ye jaam peelo
hazaar din jeene se hai behtar ke ek din sar utha ke jeelo
yazeed zillat ki zindagi, hussain izzat ka raasta
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

7. Hussain ne apni jaa'n ki khatir nahi kiya tha ye isteghasa
bachana maqsood tha wo maqsad ke jispe sab kuch fida kiya tha
sheyaar e mazloom hai yahi, jahaan mein har ek jagah
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

8. Dua ali deep kar raha hai mai jab bhi pohchunga karbala
jhuka ke roze pe apne sar ko kahunga ae shere karbala
sada e halmin pe aaj to, mai banke nasir aa gaya
hal min nasir yan surna..(2)
saji hui hai...

Ya hussain ya hussain..(2)