Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani

- Katri bawa (2011)


Haye abbas, haye abbas..(4)
Hai teri wafao'n ki ajab ghaazi kahani..(2)
bachpan pe sakina ke fida kardi jawani
Hai teri wafao'n ki ajab ghaazi kahani..(2)

1. Tu fatima zahra ki duao'n ka sila hai
abbas tera naam hi zainab ki rida hai
ab tak tera mamnoon hai islam ka bani
Hai teri wafao'n ki ajab ghaazi kahani..(2)

2. Zahra ki lahad kaapi haider ne najaf choda
ro ro ke ye shaah bole meri kamar ko bhi toda
jab khoon mein tar dekhi ghazi ki peshani
Hai teri wafao'n ki ajab ghaazi kahani..(2)

3. Rone ke liye maula kya baat ye kam hai
kitna tujhe masoomo ki haye pyaas ka ghum hai
dariya pe kiya qabza piya phir bhi na paani
Hai teri wafao'n ki ajab ghaazi kahani..(2)

4. The khaar o lahu mein tarr hai qamar e bani hasham
mazloom o ki ghurbat pe paani ne kiya matam
masrufe azaa ab tak dariya ki rawani
Hai teri wafao'n ki ajab ghaazi kahani..(2)