Hussain waaye
- Ali akbar ameen (2016)
Ya hussain...ya hussain(4)
Ek qafela hai ek bayaba'n(2)
Ek bhai hai khahar e zeesha'n hai(2)
Paresha'n hai paresha'n hai paresha'n hai,
Loot jaae na ghar baar harasa'n hai
Hussain waaye...hussain waye....(6)
1)
Ashoor ko zainab ne kaha haye;
Aye sibte payambar mere ma jaye;
Aye mere baradar mere sarmaye;
Khoo[n] tera na is dasht me bah jae
Baradar....judai hai dushwaar
Mera dil....ghamon se hai bezaar
Tere bin....ye jeena hai bekaar
Na jao, aye bhayya....na jao, aye bhayya
Dekhiye tow sare karbala..ya hussain
laashe he laashe hai...ya husain
Her taraf zulm ki dhoop hai...ya hussain
khof ke saae hai
Ek qafela hai ek bayaba'n hai
Ek bhai hai ek khahar e zeesha'n hai
Husain waye, Husain waye...(4)
2)
Is dashte bala ka hai ajab manzar;
Har simt sitamgaron ka hai lashkar;
Jin logo ke hatho me nahi khanjar;
Jholi me liye baithe hain wo patthar;
Ye dushman....sataenge hame;
Safar bhar ....rulaenge hame;
Khule sar....phiraenge hame;
Na jao, aye bhayya...na jao, aye bhayya
Ek qafela hai ek bayaba'n hai
Ek bhai hai ek khahar e zeesha'n hai
Husain waye, Husain waye...(4)
3)
Lamhaat hain bhayya ye bade hassas;
Akbar hain na qasim na jari abbas;
Atfaal hain khaimon me pade be aas;
Tanhaiye zainab ka karo ehsaas;
Qasam hai....tumhe nana ki
Qasam hai....tumhe baba ki
Qasam hai....tumhe amma ki
Na jao, aye bhayya.. na jao, aye bhayya
Chadar e chhin lengy adu; berida hongy hum;
Khaengy durr e ehle haram; aale khairul umam
Ek qafela hai ek bayaba'n hai
Ek bhai hai ek khahar e zeesha'n hai
Husain waye, Husain waye..(4)
4)
Darya pe setamgaron ka hai qabza;
Khaimon me nahi paani ka ek qatra;
Abbas bhi soe hain lab e darya;
Tum pyase hi mar jaoge kya bhayya
Main amma....Ko kya doongi jawab
Jo pochhengi.....hokar wo betaab
Raha kyun .....mera bachha be aab
Na jao, aye bhayya...na jao, aye bhayya
Ek qafela hai ek bayaba'n hai
Ek bhai hai ek khahar e zeesha'n hai
Husain waye, Husain waye...(4)
5)
Hamsheer se kahne lage ye sarwar;
Islam bachana hai mujhe khahar;
Tayyar mere qatl pe hai lashkar;
Chalne ko hai gardan pa meri khanjar;
Museebat....me ahmad ki hai aal;
Hawaley....tere ahl o ayaal;
Sakeena ....ka bhi rakhna khayaal;
Na ghabra aye zainab...na ghabra aye zainab
Aabid e khastatan na tawaN or bimar hai;
HaN tere qafele ka behen ab vo sadar hai..
Ek qafela hai ek bayaba'n hai
Ek bhai hai ek khahar e zeesha'n hai
Husain waye, Husain waye...(4)
6)
Sarwar se judai ki na thi aadat;
Tar ashkon se dilgeer ki thi soorat;
Bhai ne jo hamsheer ko di himmat;
Shabbeer ko zainab ne kiya rukhsat;
Zaba[n] se.....bahan ne kah diya
Aye bhayya....Khuda hafiz tera
Magar dil..... yahi kahta raha
Na jao, aye bhayya.... na jao, aye bhayya
Ek qafela hai ek bayaba'n hai
Ek bhai hai ek khahar e zeesha'n hai
Husain waye, Husain waye...(4)
7)
Naushad jo maqtal ko gae maula;
The khasta jigar pyas ka tha ghalba;
Seh roz se aaqa tha mera tashna;
Har simt se pyase pe hua hamla;
Sitamgar....Ka jo khanjar chala
Juda sar....shahe dee[n] ka hua
Abhi tak....ye aati hai sada
Na jao, aye bhayya....na jao, aye bhayya
Hussaina Hussaina Hussaina(6)
Ey azadar paigham e sheh yaad rakh subho sham;
Sidqo iman o ilmo amal gharato insejaam;
Ey kanizane zaianb rahey sir pay chadar modam;
Her husaini rahe muntazir aarahe hai imam....
Ya Mehdi Ya Mehdi(8)