Bhayya ghareeb
- Mir Hasan Mir (2007)
Bhayya ghareeb
(Ay Mere Bhai Hussain) x4
(Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi) x3
- Lash-e-Hussain par hai, Zainab ki ye duhaayi
- Misl-e-Batool haq se mehroom hu mei ab tak
- Afsos ke Sakina, nazo(n) se jo pali hai
- Ham par sitam ay bhayya, dhate rahe sitamghar
- Baalo(n) se mu(n) chupa kar, bazaar mei gayi thi
- Sajjad ke ye dil par, dushwaar marhala tha
- Sabse bari musibat, kya hai kisi ne poocha
- Misl-e-Batool akse mehroom hu mei ab tak
- Is aik saanhay par, aksar muhib ne socha
(Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi) x2
Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak
Tarpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Jo tum ko yaad karke, zindaa mei chalbasi hai
Usko mili na bhayya, zindaan se rihaayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Sayyedaniyo(n) ke sar mei, ati thi khaak urhkar
Bazaar ka wo manzar, Zainab na bhool paayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Narghe mei ashkiya(n) ke, beparda mei khari thi
Guzri hai kya behen par, kaise batawu bhaayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Zanjeer ko sambhaale, beemar ro raha tha
Aal-e-nabi khule sar, darbar mei jo ayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Beemar sar jhuka kar, rote huwe ye bola
Behno(n) ko shaam jana, Zainab ki beridaayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak
Tarpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2
Barbaad ho gaya jab, aal-e-Nabi ka kumba
Baad-e-Hussain kyu kar, baaqi rahi khudaayi
Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 (Tera Kafan na layi) x3