Ya zainab

- Ali akbar ameen (2016)


Ya zainab...ya zainab(2)

1)
Dokhte payambar; aye binte haider;
saniye zahra; hamsherey sarwar
zainab...
Sabre yaqoobi rah; gaya peechhe;
sabr ko tere; har nabi dekhe

rauze pe tere; kash ham hote...
tere mahzar me; shaah ko rote..

ya zainab zainab(4)

2)
dunya se kah do; gar che shaheed hai;
bazoo kate hain; gar che jari ke;
lekin...

kaat dega wo; haath baatil ke,
khud jari abbas; hain mohafiz tere,
khud jari abbas; hain mohafiz tere,

wo jari jiska; charcha hai ghar ghar,
wo nigeh baane; khaahare sarwar

Bibi jaan zainab...Bibi jaan zainab
Ya Abbas Abbas(2)
Bibi Jaan Zainab...Bibi Jaan Zainab

3)
Esa o maryam; ki aankhen hain nam,
tere azizon; ka unko hai gham,
bibi....
tere khutbon ka; chaar sooo charcha,
jin se larza tha; shaam aur koofa,
lahja e haidar; toone apnaya,
Aur paighaame; shaah pohchaya,

Ammatus sadaat...Ammatus sadaat
Ya Haider Haider(2)
Ammatus sadaat...Ammatus sadaat

4)
Mai tera saael; lutf o ata ho
qismat me meri: karbobala ho
maula...
aye khoda mera: aisa ho kirdaar
khud bulaen mujhe; sarware abraar
be haqqe sarwar; ho ata ya rab
ziyarate qabre; hazrate zainab

ya akha zainab...ya akha zainab(2)
ya zainab zainab(2)
ya akha zainab...ya akha zainab(2)

5)
Koofe ka darbaar; aur shami bazaar
tu ro rahi thi; hanste the aghyaar
Allah...
labo dandaane; ibne zahra par
marta tha chhadi; zaalime bad gohar
aur sakeena bibi; dekhti rah gai
baba ke sar ki; aisi be hurmati

ya Husain Hussain..(6)

6)
tha ek bimaar; majboor o lachaar
sajjade muztar;shah ka azadar
haye...
hathkadi dale; bediyaan pahne
tauqe gardan se; khoo,n laga bahne
jis ke baba ka sar; rakkha hai naize par
jis ki namoos hai; be reda dar badar

ya Sajjad Sajjad..(6)

7)
naushad o akbar; sab tere naukar
sar peet,te hain; rote hain tujh par
ham kya...
teri roodaad par; zulm o bedaad par
khud nabi rote hain; teri faryad par
amma jaa,n fatema; kar rahi hain bukaa
kyun hua barbaad; aye khoda ghar mera

ya Zehra Zehra(6)