Jab hoke reha qaid se

- Miscellaneous (2014)


Jab hoke reha qaid se ghar jaegi zainab..(3)
Gar tum na huwe saath to..(2), mar jaegi zainab
Jab hoke reha qaid se ghar jaegi zainab..(2)

1. Acha mai chali janib e zinda mere bhaiyya..(2)
karti hui matam tera, padhti hui nauha..(2)
seene pe liye zakhm e jigar jaegi zainab

2. Tum qatl hue aur ajal mujhko na aai..(2)
kis tarha se zinda hu na pucho mere bhai..(2)
dhundhegi tumhe aankh to jidhar jaegi zainab

3. Bhai teri mazloomi ki khati hu qasam mai..(2)
bahar dare zindaa ke na rakhungi qadam mai..(2)
jab tak na fana zulm ko kar jaegi zainab

4. Paigham zamane mein tera aam karungi..(2)
bhai tere qatil ka wo anjaam karungi..(2)
sar tan se juda shimr ka kar jaegi zainab

5. Jee khol ke bhai mai tujhe ro nahi payi..(2)
afsos teri laash pe mai nange sar aayi..(2)
maloom nahi yaa se kidhar jaegi zainab

6. Saugaat mein ye khoo'n bhara kurta tera bhai..(2)
kehdungi ye samaan bacha kar hu mai laayi
roze pe mohammad ke agar jaegi zainab

7. Sharminda hu mai tumko kafan deti to kaise..(2)
aada ne reda cheen li bhaiyya mere sar se..(2)
is ranj mein duniya se guzar jaegi zainab

8. Rehan kiye jaa tu yuhi matam e shabbir..(2)
kaam aaegi mehshar mein yehi nauho ki tehreer..(2)
naslo pe karam tere ye kar jaegi zainab

Jab hoke reha qaid se ghar jaegi zainab..(2)
Gar tum na huwe saath to..(2), mar jaegi zainab
Jab hoke reha qaid se ghar jaegi zainab..(2)