Salwat o salam
- Miscellaneous (2014)
salwat-o-salam aap pe ya fatima zahra
purse ke liye aaye hai ya fatima zahra
ho laakh darood aap pe shehzadiye kaunain
gham itne sahe aap ne ay madare hasnain
markhad may bhi aada ne nahi lene diya chain
azbaad mohammad rahe lab par tere bain
aflaak bhi tharraye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
jab chand moharram ka nazar aata hai bibi
shabbir ka tab yaad safar aata hai bibi
ashoor ka manzar hame rulwata hai bibi
ujda jo nazar aap ka ghar aata hai bibi
hum nowhaquna aaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
ashoor ki wo subhe azane ali akbar
chalte hue wo teer ibadar ka wo manzar
qaime may pareshaan thi zainab teri dukhtar
aur pyas se gehware may rota raha asghar
hum bhool nahi paaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
zainab ke pisar aun-o-mohammed ki shahadat
khamoshi se zainab ne sahi thi wo qayamat
na ashk bahaye na ki awaaz mere sad
darya pe jo jaane ki na thi maa ki ijazat
pyase hi palat aaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
ek ghatri may ek chand se qasim ka janaza
maidan se jab qaimaye fargha misa aaya
sab behne buka karti thi dulhan ka tha nowha
kab khoon ki mehndi se saja hai koi dulha
sheh dard se tharraye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
kis tarha likhi jaaye alamdar ki ruqsat
ya fathima zehra nahi alfaaz may taaqat
pyaso ke kaleje pe gira kohe musibat
jaati rahi tab baazue shabbir ki quwwat
jab mashqo alan laaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
laila ne sawara ali akbar ko ye kehkar
din byah ke hai phir bhi sidharo mere dilbar
sharminda mohammad se na ho jaaye ye madar
dam nade ali kar doon tere seene ke upar
gul sehre ke murjhaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
jab teero ki barsaat may ghar se gaye asghar
maa kehti thi pani isay de denge sitamgar
maloom na tha teer hai asghar ka muqaddar
tadpega abhi baap ke haaton pe ye dilbar
sheh laasha utha laaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
jab gardane shabbir pe chalne laga khanjar
khud aap to maujood thi wahan binte payambar
maa kehke sada deta tha jab aap ko dilbar
jannat se chale aaye thay jab dasht may haider
hum rone ko yahan aaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe....
ay kashif-o-rehaan pase shame ghariban
saydaniya roti thi larazta tha bayaban
jalte hue qaimo ka dhuan bar sare maidan
ek bachi ko sholo may sulagta hua daaman
dil dard se bhar aaye hai ya fatima zahra
salwat-o-salam aap pe