Bazar ka manzar

- Sayed Shabrez (2016)


Be parda haram Shaam ke bazar ka manzar..

Rota hai sar jhukaye x2
Mera abid e muztar..

Be parda haram Shaam ke bazar ka manzar..

Gairo se Ali zada Rida maang raha hai
Zanjeero ne ro ro kar yehi nauha padha hai
Guzregi bhala kaise x2
bazar se madar..

Bazar sajaya hai charago ko jalakar
Be jurm o khata aale payambar ko rulakar
Haste hai sayyado par x2
Sabhi ahle sitamgar..

Boli yeh ajal mere Khuda Kaisa hai manzar
Yeh raaz hai Kaisa ke nabi zadi khule sar
Kehta hai inhe baaghi x2
Shaki maar ke pathar..

Beemar tadapta hai yeh deta hai duhai
Lipti hai kaleje se sakina meri jaayi
Daaman bhi jala iska x2
Suno chin Gaye gohar..

Afsos nabi zadi chehre ko chupakar
Saaye ko natava ki woh parda banakar
Ghazi ko bulati hai x2
Bazaar me Rokar..

Rota hai Kalam Mera hai qirtas ka girya
Alfaz tadapte hai padhu kaise yeh nauha
Yawar main likhu kaise x2
Darbar ka manzar..

Be parda haram Shaam ke bazar ka manzar