Zindaan ke andhere mein sakina ki sada hai

- Sayed Shabrez (2016)


Haaye Zinda Haaye sakina x2

Zinda ke andhere me sakina ki sada hai x2

Baba hai na Akbar hai na gaiyoor chacha hai..

Zinda ke andhere me sakina ki sada hai x2

Main tujhko dua o ki dua banke mili hu
Zinda hu main aise ke qaza dekh rahi hu
Yeh ajre risalat ka sila Kaisa mila hai..

Be jurm rulaya hai tere baad aye baba
Bazar phiraya hai tere baad aye baba
Rone pe sitam dekho durro ki Saza hai..

Durro ke nisha tumko dikhayegi sakina
Har ek sitam tumko sunayegi sakina
Durr chin liye baba Daaman bhi jala hai..

Ehsaas yateemi ka jeene nahi deta
Bechain kar raha hai Zinda ka andhera
Dar mujhpe masayab ka ek Aur khula hai..

Tanhaiya aisi hai aahat se daru main
Is aalame gurbat me bhala kaise jiyu main
Har saans ukhadti hai Aur khush gala hai..

Kuch der ke liye hi Seene se laga jao
Aajao mere baba Lori to suna jao
Soti hu Khaakh ode Kya meri khata hai..

Masoom hichkiyon par har lafz ro raha hai
Shabrez ghumzada yeh faryaad kar raha hai
Yawar pe choti zehra yeh sab Teri ata hai..

Zinda ke andhere me sakina ki sada hai x2