Ana mazloom hussain

- Sayed Shabrez (2016)


Ana mazloom Hussain
Ana mazloom Hussain
Ana mazloom Hussain
Ana mazloom Hussain..

Mera Nana hai Nabi
Mera baba hai Ali
Aur meri maa Zehra
Ana mazloom Hussain....

Ana mazloom Hussain
Ana mazloom Hussain
Ana mazloom Hussain
Ana mazloom Hussain

Quraan Kya hai qasida hai mere Nana ka
Namaz doshe Mohammed pe ki hai Maine ada
Main la ilaah ki baqa nahi hai khaufe qaza
Baqaye deen e Khuda
Ana mazloom Hussain....

Wafa ki raah me abbas de diya Maine
Safar me Phool Sa asghar bhi kho diya Maine
Sitam ki had guzri qaza bhi roti
Bicha ke farsh e aza
Ana mazloom Hussain....

Sukun dil na raha Mar gaya jawaan Mera
Gareeb e khasta badan Hogaya hu main tanha
Labo pe naad e Ali sada yeh deti rahi
Mera koi na bacha
Ana mazloom Hussain....

Hasan ka chand bhi tukdo me bat gaya dekho
Zara si der ruko zalimo zara socho
Ghamo ka hai yeh sukhan tadap rahi hai bahen
Labo pe hai girya
Ana mazloom Hussain....

Yeh Kaisa din hai ke sadaat hai gareebi hai
Tadap rahi hai sakina tadap ke roti hai
Nahi hai aas nahi pidar bhi pass nahi
Sitam ka hai saaya
Ana mazloom Hussain....

Ke mere baad shaki yeh sitam bhi dhaayega
Yateem bacho ko Durro se woh darayega
Yeh al atash ki sada sune to koi Khuda
Bataye Kya hai khata
Ana mazloom Hussain....

Charage ishq e Khuda is tarha jalaunga
Seena ki nok se Quraan bhi sunaunga
Yeh Mera wada raha sune yeh fauje jafa
Sada e Haq ki nida
Ana mazloom Hussain....


Sada e Hazrat e mazloom hai baqa Yawar
Hussain sabr ka paikar hai ba Khuda Yawar
Zubaan Haal hai yeh nabi ka laal hai yeh
Suno hai jiski sada
Ana mazloom Hussain....