Kis tarha

- Mir Hasan Mir (2007)

Kis tarha

Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye

Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

(Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  1. Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye
  2. (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  3. (Lai gayee baap ka saya to saro(n) se unke) x2
  4. Ab Yateemon ko hawa chaahe jidhar le jaaye

    Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

    (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  5. (Aik do gul ke charaghon ko bujha de leykin) x2
  6. Cheen ker koi na umeedai(n), sahar lai jaayai

    Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

    (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  7. (Paon zakhmi hai(n) to raho(n) main hai(n) pathar kaantay) x2
  8. Jaane Aabid ko kaha(n) tak yeh safar le jaaye

    Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

    (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  9. (Boli hongi Ali Akbar ko saja ker Zainab) x2
  10. Chaand ko mere kissi ki na nazar le jaaye

    Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

    (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  11. (Sochti hogi yeh Bano mera bach jaaye suhaag) x2
  12. Hurmula mujh sai mere lakht-e-jiger lejaaye

    Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

    (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  13. (Rakh ke ankhon ke sulagtay huwe is maqtal mei) x2
  14. Laash bacho(n) ki ke Shabbir ka sar lejaaye

    Paas Zainab ke bacha kya hai jo ghar lejaaye

    (Kis terha apni tabahi ki khabar lejaye) x2

  15. (Shaiyari ki meri maiyaar yehi ho gi "Nazeer") x2

Zikr-e-Sarwar main mujhe mout agar lejaaye