Kaisi ye shaam aayi

- Sayed Shabrez (2016)


kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par,

Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa kar

Ek simt bekafan hai bhai ka uske laasha
Abbas ki behen ka baaki raha na parda
Ab sochti hai zainab maange kafan yaa chaadar

Baba hai kulle imaa'n maa meri Sayyada hai
Gurbat ko meri dekho haatho se muh chupa hai
Haste rahe muslamaa'n meri aba jalakar

Baazu kahin pade hai lasha kahin pada hai
Zainab ki bebasi par ghazi tadap raha hai
Roti hai bekasi bhi farshe aza bichha kar

Jo ghar me do kadam bhi paidal nahi chali hai
Ek din mei wohi Zainab Abbas ban gayi hai
Pehre pe aagayi hai tanha alam utha kar

Dushwar hai bahen ka laasho ke samt jana
Aye ghumzada hawao Abbas ko bulana
Behte hai mere aansu nauha yehi sunakar

Sajjad se lipat kar kehti rahi sakina
Ehsaas ho raha hai main ho gayi yateema
Zaalim dara raha hai naiza dikha dikha kar

Hai imtehaan Mera aashur dhal gayi hai
Baad e Hussain Zainab jeeteji Mar gayi hai
Sajjad natava hai kamsin hai Mera baqar

Laasho ke darmiyan woh baba ko dhoondti hai
Muh apna peet kar Yeh faryaad kar rahi hai
Kadmo me hi sula do baba mujhe bula kar

Jab agaye najaf se beti ko milne baba
Zannu pai rakh ke sar yeh kehne lage wo dukhiya
Zainab ujar gayi hai karbobala basa kar

Khaimon ke sath jula bistar bhi jal giya hai
Namose Mustufa ko baaghi kaha gaya hai
Le jayenge subha ko qaidi hume bana kar

Guzre kaise yawar maqtal se shahzadi
abid ne raat momin yeh soch kar guzari
zainab ka naam lega zalim Jo muskura kar

Kaisi Yeh shaam aayi aulaade sayyada par,
Sajjad ro rahe hai, zainab se muh chhupa kar