Virde darwaish- Yeh bata karbobala
- Shahid Baltistani (2009)
Ye bata karbobala..(4)
Kis tarha aale mohammad pe hue zulm o jafa
Ye bata karbobala..(2)
Paani hote hue kyu ibne ali pyaasa raha
Ye bata karbobala..(2)
Kis tarha aale mohammad pe hue zulm o jafa
Ye bata karbobala..(2)
1. Shabe ashoor ko dulha jo bana tha qasim
haaye dulha qasim..(2)
kis tarha dasht mein wo ghodo se pamaal hua
Ye bata karbobala..(2)
2. Jab alamdaar ke bazu hue maqtal mein juda
zeen par ruk na saka..(2)
zeen se khaak pe kis tarha alamdaar gira
Ye bata karbobala..(2)
3. Ali akbar jise kehti thi ali ki beti
wo tha ham shakl e nabi..(2)
uske laashe pe hussain ibne ali kaise gaya
Ye bata karbobala..(2)
4. Leke beemar ka paigham jo yasrab se chala
ashk barsata hua..(2)
haye kis waqt pe wo qaside sughra pohcha
Ye bata karbobala..(2)
5. Apne baba ko jo baba bhi nahi bol saka
ghutniyo bhi na chala..(2)
teer kaise usi masoom ki gardan pe laga
Ye bata karbobala..(2)
6. Teer se chalni badan zakhmo se khoo'n jaari tha
lab pe tha shukre khuda..(2)
sajda e aakhri shabbir ne kis tarha kiya
Ye bata karbobala..(2)
7. Baap ke seene pe bachi jo sada soti thi
sham e ghurbat me wohi..(2)
kis tarha teero bhare seene pe soyi tanha
Ye bata karbobala..(2)
8. Qafla gyara moharram ko rawane jo hua
berida tha kunba..(2)
sar jhukaye huw kis tarha se beemar chala
Ye bata karbobala..(2)
9. Phir se deedar ko aankhein ye tarasti hai meri
dil mein hasrat hai yehi..(2)
hoga rehan ko kab izn ziyarat ka ataa
Ye bata karbobala..(2)