Haye sakina

- Ali akbar ameen (2016)


Haye sakina....(4)

1) Ye sakina ke lab pay tha nauha mujhko asghar ka sir he dilwa dow;
Ey phuphi jaan garche mumkin how mere bhai say mujhko milwa dow

2) Zabt aakhir karu bhi mai kyoN kar; kaise dekhu ke sir hai naize par
Kaise bin bhai ke rahu zinda;koi tatbeer hoto batla dow

Ya sakina ke lab....(2)

3) Ab na rota hai or na hasta hai jaane kyon mujhki takta hai; (2)
Kaise aaghosh may mai loo'n usko pyar kaise karu ye samjha dow

Ya sakina ke lab....(2)

4)dekhiye gour say rukhe anwar; jumm gai dhool kitni chehre par(2)
Ilteja ke karke baaniye shar say; hosake gar tow saaf karwa dow

Ye sakina ke lab...(2)

5) haaye pyasa kiskadar asgar;papdiyaa'n dekhti hoo'n hoto'n par(2)
Mujhpe ehsaan how agar paani; mujh say pehle jo usko pilwa dow

Ye sakina ke lab...(2)

6) dhoop say kis tarha bachau may; saya karne ko kaise jaau may(2)
Meri chadar he kehke zaalim say; mere bhayya ke sir pay dalwa dow

Ye sakina ke lab..(2)

7) gir na jaau kahi may naake say; ey phuphi jaan mai hu faake say(2)
Shimr say lag raha darr mujhko maa ke humraah mujhko bithwa dow

Ye sakina ke lab...(2)

8)sunke ek neem jaa'n ke bain aasif; ro raha tha sir e hussain aasif(2)
Kehti jaati thi ek behen akbar mujhko bhayya say mere milwa dow

Ye sakina ke lab...(2)