Abbas e alamdar

- Ali akbar ameen (2016)


Takhleek ke kanoon may mumkin nahi inkar;
Karna he padega ba khuda subko ye iqraar;
Zehra ki dua banke mila saani e qaraar;
Is amr hai Allah ki qudrat hai namudaar

Abbas Alamdar ey Sahib e Qirdaar(3)

Abbas....
Hashmi shaan hai tu;
Haq ki pehchan hai tu;
Jalwae haider...
Tujhmay osaaf e Ali;
Tu hai kirdaar e Ali;
Zaat may  lashkar;

Abbas Alamdar ey saahib e kirdar(3)

Khusbakht hai vo jisne kari teri ziyarat;
Issaya e rehmat say mili ysko sharafat;
Aagosh e wafa may raha vo banke shuja'at;
Rozey pay tere milti is darja fazilat;

Abbas Alamdar ey saahib e Kirdaar(3)

Abbas....
Tera zawwar jari;
Khali aaya na kabhi;
Ey mere ghazi...
Waaris e ishq e wafa;
Ey wafa o ke khuda;
Ey sakhi ibne sakhi;

Abbas e Alamdar ey kul ke madadgar(3)

Ey zair e husain hai ye tera mukaddar;
Rakhta hai kadam jis ghadi maktal ki hado'n par;
Ba hukme husain ibne ali jaan e payambar;
Lene ke lie aatey hai abbas e dilawar;

Abbas e Alamdar ey kul ke madadgar(3)

Abbas....
Azm e shabbir liye;
Rub ki shamsheer liye;
Saani e haider;
Leke aata hai jari;
Yo'n ali ibne ali;
Matami lashkar;

Abbas e alamdar ey sheh ke wafadar(3)

Aashur dhali sham e ghariba ka wo manzar;
Maktal may khadi roti rahi waris e chadar;
Nauha tha sakina ka ye maasum labon par;
Karte hai sitam humpay sitam ehle sitamgar;

Abbas e alamdar ey sheh ke wafadar (3)

Abbas...
Hurmat e ehle kisa;
deke ghazi ko sada;
Moh chupati thi;
Karbala karbobala;
Loot gai meri rida;
Rokey kehti thi;

Abbas e alamdar aajaona ekbaar (3)

Akbar nay padha tera nauha ba wazu maula;
Nazre na uthi dil nay tarapkar ye pukara;
Mushkil na rahey jaisi bhi muhkil how khudara;
Kaafi hai mere ghazi tera ek ishara;

Abbas e Alamdar ey sahibe kirdaar(3)

Abbas....
Kardo yawar ko ata;
Hai kalamkar tera;
Ey mere moula;
Ye sada likhta rahey;
Na jhukey na ye bikey;
Ey mere moula;
Abbas e alamadar
Nasl e how wafadar(3)

Abbas e alamdar ey sahib e kirdaar(3)