Na jee payegi fizza

- Irfan Hussain (Bangalore) (2016)


Haye fizza..(4)
Na jee payegi fizza..(2)

Zainab na tujhe chodke jee payegi fizza..(2)

Ro roke teri qabr pe mar jayegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

1. Bibi tujhe maine kabhi tanha nahi choda
Hadd ye hai masaeb mein bhi rishta nahi toda
Nauha yehi turbat pa padhi jayegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

2. Dushwar hai pardes mein is ghum ka uthana
Mat aalame ghurbat mein mujhe chodke jaana
Kya jaake watan waalo ko batlayegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

3. Zakhmo se tapakta hai abhi khoon badan ke
Chaala hai abhi neel bhi shaano mein rasan ke
Kis tarha kafan laashko pehnaegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

4. Na dil ko sukoo hai na tasalli hai zara si
Duniya se sidhari hai mohammad mi nawasi
Sar peetke turbat pa ye chillaegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

5. Pardes mein ye kiski nazar kha gayi bibi
Mai zinda rahi tumko ajal aagayi bibi
Ye baar judai ka naa seh payegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

6. Phir qabr se awaaz ye aayi kai baari
Is zor se turbat pa na kar girya o zaari
Amma meri turbat mein tadap jayegi fizza

Zainab na tujhe..(2)

7. In zakhmo ka akhtar kabhi marham na milega
Kaapegi zamee'n aur kabhi arsh hilega
Jab jab bhi masaeb tere dohraegi fizza

Zainab na tujhe..(2)