Alvida alvida

- Zeeshan Haider (2006)


Alvida alvida ali akbar alvida
Alvida alvida hazrat qasim alvida
Alvida alvida aun mohammad alvida
Alvida alvida ali asghar alvida
Alvida alvida ya abbas alvida
alvida alvida alvida alvida

alvida alvida ya shaheed e bekhata
naaz e dashte nainawa shahe karbala

Kar qubool behen ka salaam ya hussain
qaid hoke jaa rahi hu shaam ya hussain
dil mein teri yaad hai ya hussain ya hussain
dil mein teri yaad hai, aasra sajjad hai
saath ibne saad hai, mai hu berida

Khatm hogaye hai saare aasre
akbar o abbas mere na rahe
qatilo ki bheed hai hamari har taraf
jaane ko tayyar ab hai qaidiyo ki saff
ibne shahe buturaab ya hussain ya hussain
ibne shahe buturaab, hogayi hu be hijaab
laut aau kaamyaab, de mujhe dua

Kya sunau dard faqr e panjetan
chahe maine laakh hai kiye jatan
mai ridae innama bacha nahi saki
bhai teri laash pe mai aa nahi saki
aag thi khayam the ya hussain ya hussain
aag thi khayam the, din mein do imaam the
bache tishna kaam the, aati kis tarha

Chup na jaye tera begunaah lahu
jaa rahi hu isliye mai ku baku
Jaake mai bataungi tu bemisaal hai
tu bakaa e deen hai tu lazawaal hai
shahe benawa hai tu ya hussain ya hussain
shahe benawa hai tu, ruhe la ilah hai tu
fakhre ambiya hai tu, raaz e kibriya

Mai na rukne dungi tera ghum hussain
mai na jhukne dungi ye alam hussain
ahad jo kiya hai wo nibhake aaungi
mai hussainiyat ko yu bachake aaungi
hashr tak rahega tu, ya hussain ya hussain
hashr tak rahega tu, is tarha jiyega tu
aake khud kahega tu, behen shukriya

Chod kar chala jo dasht e karbala
malka e haya ka qaidi qafela
boli roke shaah se ye dukhtare imraan
tashna lab ghareeb bhai mai tere qurbaan
dil ghamo se choor hai, ya hussain ya hussain
dil ghamo se choor hai, aur shaam door hai
jaana bhi zaroor hai, bhai alvida

Kar qubool behen ka salaam ya hussain
qaid hoke jaa rahi hu shaam ya hussain
dil mein teri yaad hai ya hussain ya hussain
dil mein teri yaad hai, aasra sajjad hai
saath ibne saad hai, mai hu berida

alvida alvida ya shaheed e bekhata
naaz e dashte nainawa shahe karbala