Bazaar mei bint-e-Ali
- Mir Hasan Mir (2007)
Bazaar mei bint-e-Ali
(Aina Akhi Abbas) x 4
(Bazaar Mai Binte-Ali Deti Thi Sadaa Bhai Abbas Kahaan Ho) x 2
- (Sar Par Bhi Nahi Chaadar) x 2 Laakhon Hai Tamashaai
- Is Aalam-e-Ghurbat Mai Koi Bhi Nahi Meraa,
- Paivast Hai Neze Mai Sar Shaahe Shahidaan Ka,
- Dariyaa Ke Kanaare Tum Aadaa Se Gaye Larne,
- Duniyo Ka Sahara Hai Baba Jo Hamaraa Hai,
- Be Munis-o-Yawar Hai Batlaawo Kidhar Jaaye,
- Ai Sher Yehi Meri Imdaad Ko Aajaao
- Ahmed Ki Nawaasi Ka "Yassir" Yehi Nauha Thaa
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Hai Khaake Safar Sar Par Aur Haath Rasan Bastaa,
Pardes Mai Zainab Ko Taqdeer Kahaan Laayi
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Yeh Dekh Ke Ai Ghaazi Phat-taa Hai Mera Sina,
Marjaaegi Is Gham Mai, Shabbir Ki Majaayee
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Sab Dekh Rahi Thi Mai Darvaaza-e-Khaima Se,
Ab Jung Hamaari Bhi Dekho To Zaraa Bhai
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Mushkil Mai Magar Maine Tumko Hi Pukaara Hai,
Ab Dhundhti Hai Tumko Bhayya Meri Binaai
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Is Tarha To Jine se Behtar Hai Ke Marjaaye,
Fariyaad Kare Kisse Hoti Nahi Sunwaayi
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Maanga Hai Kanizi Mai Zaalim Ne Sakina Ko
Hai Waqt Qayamat Ka Maasum Hai Ghabraayi
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4
Na Bhaai Bache Mere Na Koi Bachaa Beta
Ab Jiike Karungi Kya Gar Maut Nahi Aayi
Abbas (Kahaan Ho) x 2 (Abbas Abbas) x 4