Haye zindaan tera watan

- Farhan (ALI WARIS) (2014)


Meri mazloom behna Sakina
Meri masoom behna Sakina
Bole Sajjad laasha uthakar
Sakina..x2
(Haye zindaan tera watan ban gaya
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya)..(2)

1. Kya karu qaidkhana hai yeh ghar nahi
Ghusl dene ko pani mayassar nahi
Aur dafnau kaise ke chadar nahi
Bekasi aur ghurbat me aye ghamzada
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan….
Khoo'n bhara….

2. Jab tu royi  tamacho ki khayi saza
Baliyan chhin gayi aur daman jala
Aur kaano ke khoo'n se hain kurta bhara
Haye tujhko kafan bhi nahi mil saka
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan….
Khoo'n bhara…

3. Tu andhero'n se darti rahi meri jaa'n
Baakhte gham me roti rahi meri jaa'n
Ghar chalo maa se kehti rahi meri jaa'n
Tera armaan pura nahi ho saka
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan…
Khoo'n bhara…

4. Aisi bichdi ke fir baap se na mili
Chhut ke baba se zindaa'n ki qaidi bani
Haye yeh baat Sajjad ko kha gayi
Haye teeron se unka kafan ban gaya
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan…
Khoo'n bhara…

5. Tujhko zindaa'n me baba ka sar jo mila
Tune baba ke muh par jo muh ko rakha
Itna royi ke zindaa'n larazne laga
Rote rote hi ayi hai tujhko qaza
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan….
Khoo'n bhara…

6. Kamsini me sitam tune kitne sahe
Char saala yateema main sadqe tere
Baade Ashur soyi nahi chayn se
Chayn marke bhi tujhko nahi mil saka
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Haye zindaan …
Khoo'n bhara…

7. Haye Farhan o Mazhar ajab waqt tha
Us yateema ka jis dam janaza utha
Bibiyon me bapa ek kohraam tha
Sabne qabre Sakina pe nauha kiya
Khoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya
Sakina…x2