Mai kaise chalu baba
- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)
Ya hussain, ya hussain..(2)
mera qad chota, phupiya hai badi..(2)
gardan mein rasan sabke hai bandhi..(2)
mai paao'n zamee'n par kaise rakhu
mai kaise chalu..(4)
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma, dukh raha hai gala
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
1. Mere payr zamee'n par tikte nahi
aur zalim hai ke rukte nahi
ab dard se mai chillati hu
aada ke tamache khati hu..(2)
ghum, ranjo masaeb, alam
sehti hu har dum sitam
rukti nahi hai jafa, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
2. Dada meri mushkil karde kusha
hojaye meri hajat ye rawa
na saya hai na paani hai
dadi ki kahani maani hai..(2)
aye mushkil kushaye jahan
mushkil mein hai meri jaa'n
mar jaungi ba khuda, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
3. Bhai hai mera beemar e hazee'n
godi mein mujhe le sakta nahi
zanjeer e sitam hai payro mein
aur khaar biche hai raaho mein..(2)
wo rota hai mere liye
rou mai uske liye
jaari hai ye silsila, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
4. Chalti thi kabhi mai phoolo mein
mai soti nahi thi jhoolo mein
bistar tha mera tera seena
kya yaad nahi tumko baba..(2)
mai sojati is khaak par
itni thakan hai magar
aayegi ab neend kya, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
5. Mai payro chal kar jaati thi
ammu ke gale lag jaati thi
godi mein chacha behlate the
aur zere alam le jaate the..(2)
jo hota agar bawafa
hoti qayamat bapa
kehdeti gar mai chacha, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma
6. Rehan o raza wo shahzadi
ek lamhe ko khaamosh hui
najane khayal aaya kaisa
wo kehne lagi rokar dukhiya..(2)
haye, khanjar se kaata gaya
baba tumhara gala
kaise kahu mai bhala, dukh raha hai gala
kaise chalu baba, gardan mein hai reesma
mai kaise chalu baba, kaise chalu baba
gardan mein hai reesma