Khali jhula kaise jhulau
- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)
Aaja asghar lori sunau..(2)
khali jhula kaise jhulau
Aaja asghar lori sunau
khali jhula kaise jhulau
Aaja asghar lori sunau
Dil se lagau, naaz uthau
aaja asghar lori sunau
1. Kaale gesu, rang sunehra
kitna hasee'n tu, chaand hai mera
khaak o lahu mein, lekin dooba
phoolo jaisa, tera chehra
dhoop mein ran ki, kaise bachau
aaja asghar lori sunau
2. Ek ek pehlu, teri khushboo
chaaro taraf hai, mere phaili
tera kurta, tera shaluka
aise basa hai, yaad me meri
jitna sochu, doobti jaau
aaja asghar lori sunau
3. Chaand se badhkar, tera ujaala
maine safar mein, tujhko paala
rehgayi hasrat, ghar ke sahan mein
na tu chala aur, na tu khela
ungli pakadkar, tujhko chalau
aaja asghar lori sunau
4. Akbar mera, pehne sehra
tumko banau, mai shahwala
makhmal jaise, phoolo wala
chhota sa ek, pyaara sehra
sar pe tumhare, beta sajaau
aaja asghar lori sunau
5. Nazuk se gardan pe tumhari
maine suna hai, zakhm laga hai
kaisa sitam zalim ne kiya hai
tu chhota hai, teer bada hai
roti jaau, kehti jaau
aaja asghar lori sunau
6. Kyu na padhe salman o raza hum
nauhe ke soorat mein lori
lori sunane ki hasrat thi
jo na hui madar ki puri
kehti thi mai, mar na jau
aaja asghar lori sunau