Kisne kiya chalni mere bache ka janaza
- Mir Hasan Mir (2011)
Kisne kiya chalni mere bache ka janaza..(2)
mayyat pe hasan ki yahi zehra ka tha nauha, haye

1. Jeeteji chayn se kabhi jeene nahi diya
ab zeher dediya hai to hai dafn pe jhagda
zinda ko sataya kabhi, mayyat ko sataya
Kisne kiya chalni mere bache ka janaza..(2)
2. Turbat pe baba jaan ki kehti rahi dukhtar
aayi hu teri qabr pe teero se guzarkar
baba meri aulad hai, aur ehle madina
Kisne kiya chalni mere bache ka janaza..(2)
3. Aisa koi jahaan mein laasha nahi hoga
ghar se nikalke ghar mein jo phir laut ke aaya
koi mujhe bataye ke, kya zulm tha iska
Kisne kiya chalni mere bache ka janaza..(2)
4. Kuch der qabl dekha tha khoo'n muh se ugalte
ab dekhti hu mai lahu behta hai kafan se
ummat ne kaisa ajr ye, baba mujhe diya
Kisne kiya chalni mere bache ka janaza..(2)
5. Mehshar jab mai aaungi haider ke saath mein
parwardigaar us ghadi zehra ke haath mein
ek khoo'n bhara kafan hoga, ek khoo'n bhara kurta