Al mazloom al masoom
- Nasir Zaidi (1990)
as-salam alaika ayyohal mazloom
as-salam alaika ayyoha-sh-shaheed, al masoom
Aayi hai buka karti, firdaus se ye zehra
as-salam alaika ayyohal mazloom
shabbir pe aada ne bejurm kiya nargha
as-salam alaika ayyoha-sh-shaheed, al masoom..(2)
1. Khat bhejke pehle to bulwaya laeeno ne
phir dashte bayaba'n mein..(2)
kunbe ko mere ghera
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
2. Wo dhoop, wo loo, sehra garmi wo qayamat ki
mehmano ko aada ne..(2)
seh roz rakha pyaasa
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
3. Zainab ke pisar dono kamsin the pyaase the
in zalimo ne ran mein..(2)
bachho ko mere maara
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
3. Pamaal sume aspaa tan kar diya maqtal mein
farzande hasan qasim..(2)
ek raat ka dhula tha
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
4. Kaate gaye darya par paani ke ewaz baazu
abbas ka sar misle..(2)
haider kiya do paara
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
5. Peeri ke sahare ko maa baap ki dharas ko
tukde kiya naize se..(2)
seena ali akbar ka
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
6. Paani na diya qatra cheh maah ke asghar ko
shabbir ka baazu aur..(2)
shishmaahe gala cheda
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
7. Ghode se gira jis dum jalti hui reti par
teero pe muallaq tha..(2)
dilbar ka mere laasha
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)
8. Majboor hai muflis hai lekin ye tamanna hai
aye kaash kahe aakar..(2)
roze pe anees aaqa
al mazloom al masoom..(2)
ya hussain, ya hussain, ya hussain, ya hussain
al mazloom al masoom..(2)