Ghar lut gaya mera ya rasoolallah

- Miscellaneous (2014)


Qabr e nabi udaas, madina udaas tha
zainab nabi ke roze pe, padhti thi marsiya
kehti thi apne ujadne ka maajra
marqad laraz utha juhi..(2)
to zainab ne ye kaha
ya rasoolallah, ghar lut gaya mera, ya rasoolallah
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)
mai hogai tanha, ya rasoolallah
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)

1. Jis waqt gaye the (hum tere sheher se)..(2)
thi maqna o chadar, (nikle the jo ghar se)..(2)
ab wo nahi parda, ya rasoolallah
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)

2. Tukdo mein bata tha (ek dulha ka laasha)..(2)
yu bikhri ummeede (is tarha se sehra)..(2)
farwa ka tha nauha, ya rasoolalla
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)

3. Thi jiske hawaale (maa behno ki chadar)..(2)
maara gaya wo bhi (shaano ko kata kar)..(2)
be aas hue shaah, ya rasoolallah
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)

4. Bhai pe churi thi (mai dekh rahi thi)..(2)
sar kat-ta tha sheh ka (mai darr pe khadi thi)..(2)
koi na tha mera, ya rasoolallah
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)

5. Ek rassi mein nana (humlog bandhe the)..(2)
shaane the bado ke (bachho ke gale the)..(2)
mehmil na kajawa, ya rasoolallah
ghar lut gaya mera, ya rasoolallah..(2)