Ali nemal waliyullah

- Shabih Abbas Jafri (2016)


Ali ne'mal waliyullah..(4)
azaa'n akbar ki jo gunji
allahu akbar..(4)
azaa'n akbar ki jo gunji
mayane karbala gunja
Ali ne'mal waliyullah..(4)

Bahattar ne kaha ye bayn, sare maqtal sare sajda
Ali ne'mal waliyullah..(4)

1. Ali akbar ke hoto'n par sada allahu akbar ki
labo'n par bhi mohammad ki nabuwat ki gawahi thi
ali ya ali..(4)
ye kehkar qaid sadyo mein kiya akbar ne ek lamha
Ali ne'mal waliyullah..(4)

2. Ye lamha badhte badhte asr tak phaila sare maqtal
bana gulshan ali ke khoon ki khushboo se wo jangal
ali ya ali..(4)
ali ke phool jo bikhre pukara dasht wo sehra
Ali ne'mal waliyullah..(4)

3. Wo jab aun o mohammad ne wigha ka izn hai paaya
tha jo maidan ka manzar wohi raavi ne hai likha
ali ya ali..(4)
laga ke hamza o jafar ne yeh kehkar kiya hamla
Ali ne'mal waliyullah..(4)

4. Badha jab janib e darya ali ka bawafa beta
falak tharra gaya abbas ki dehshat se rann kaapa
ali ya ali..(4)
yehi kehte hue maidan ka naqsha badal daala
Ali ne'mal waliyullah..(4)

5. Ali asghar ne jhule se kaha labbaik halmin par
ijazat de mujhe amma palat dunga safe lashkar
ali ya ali..(4)
mayane jung hoto'n pe har ek jumbish pe ye ubhra
Ali ne'mal waliyullah..(4)

6. Hussain aaye to maida'n me bapa ek shor e mehshar tha
hussain ibn e ali ke waar se satte mein lashkar tha
ali ya ali..(4)
udoo ko kaat kar tha yu ali ki tegh ka naara
Ali ne'mal waliyullah..(4)

7. Nahi thi dushmani koi kisi ko la ilaaha se
na dushman ashkiya the ash-hado anna mohammad ke
ali ya ali..(4)
chale hai teer jaise kaha sarwar ne ye jumla
Ali ne'mal waliyullah..(4)

8. Dhala ashoor ka suraj to phir shaame alam aayi
ghazab hai abid e beemar ko zanjeer pehnayi
ali ya ali..(4)
ye ghurbat dekhke kehne laga jalta hua khaima
Ali ne'mal waliyullah..(4)

9. Usi dasht e musibat mein kahi par kho gayi bachhi
khabar ye jab mili to khwahar e shabbir ghabrai
ali ya ali..(4)
kaha zainab ne aaja madad ko aye mere baba
Ali ne'mal waliyullah..(4)

10. Ye khud salmaan dekha maine shehr e shaam mein jaakar
hui sadiya'n larazta hai magar darbaar ka har darr
ali ya ali..(4)
har ek deewar par naqsh zainab ka yahi khutba
Ali ne'mal waliyullah..(4)