Haan ye mere bete hai
- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)
Sher hue do waarde lashkar
maqtal mein barpa tha mehshar
fakhr se apne sar ko uthakar
kehti thi abbas ki khwahar
haan ye mere bete hai..(4)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
1. Naam hai inke aun o mohammad
haider ke akkas hai ye
mulk e wafa ke dono makee'n hai
dono hi abbas hai ye
fatima zehra ke hai nawase
mamu par jaa'n dete hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
2. Maine inhe takeed ye ki thi
darya par mat jaana tum
maqtal mein pyaase hi rehna
sabr e ali dikhlana tum
waqt e wigha ye bint e asad ki
god ke paale lagte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
3. Aun mohammad se kehta tha
bhai bhool na jaana tum
hum hai ali akbar ka sadqa
amma ka nazrana tum
shukre khuda amma ke sajde
fakhr se kehte rehte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
4. Ghar jaana hai khoo'n mein nahake
pohche jab khaimo mein laashe
khushk zabaa ko dekhke amma
kehde hai shehzade pyaase
hukm e madar maanne wale
marke zinda rehte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
5. Aun o mohammad ki ye hasrat
puri hui zindaan mein jaakar
jab waqt e azaadi aaya
nauk e sina se utre jab sar
boli zainab peet ke sar ko
lawaris jo dikhte hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)
6. Aun o mohammad jaise bete
kaash khuda rehan o raza de
fakhr se sar uncha ho maa ka
baap kare sajde pe sajde
rooh e abu talib ye pukare
haider jinko rote hai
haan ye mere bete hai..(2)
ek hai mohammad aur dusra hai aun
haan ye mere bete hai..(2)