Maa aayegi hussain

- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)


Madar e aqdas ki turbat pe gaye jis dum hussain
hogaye hairan pehle se waha'n barpa the bayn
pucha jab shabbir ne amma se rone ka sabab
qabr e zehra se sadaa aayi nahi hai dilko chayn
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)

Mimbar sina ki nauk pe jab tum sajaoge
maa aayegi hussain..(2)

nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)

1. Aye laal jab khareedoge maqtal ki tum zamee'n
rakhna khayal ho wo zamee'n neher ke qareeb
jab neher se sakina ko paani pilaoge
maa aayegi hussain..(2)

2. Rakhna qadam zameen par lekar ali ka naam
karna na bhulna abu talib ko tum salam
bint e asad ki nazr waha jab dilaoge
maa aayegi hussain..(2)

3. Baade namaz e jung ka aaghaz dekhne
hurr jaise jaanesar ka andaaz dekhne
ghode pe hurr ko padhke dua jab bithaoge
maa aayegi hussain..(2)

4. Waqt e sahar azaa'n ali akbar ki hogi jab
doobega khoon roke waha'n mahtab e shab
aur tum safe namaz e shahadat pe jaoge
maa aayegi hussain..(2)

5. Karke khizaab khoon se asghar ki laash par
thaame hue jigar ko jhukae hue nazar
laasha, laasha garam zameen mein jis dum chupaoge
maa aayegi hussain..(2)

6. Wo hausla bhi dekhne beta mai aaungi
lekin nigaahe tujhse mai kaise milaungi
mayyat jawan laal ki jab tum uthaoge
maa aayegi hussain..(2)

7. Jab zeen na zameen par hoga tera badan
teero pe laash hogi teri jab ke bekafan
tum amma amma kehke hume jab bulaoge
maa aayegi hussain..(2)

8. Hai ye sada baqiyyah se rehan aur raza
karte hai jo jahan mein beta teri azaa
bakshish ko unki hashr mein jab tum bulaoge
maa aayegi hussain..(2)
nana se kiya wada jab tum nibhaoge
maa aayegi hussain..(2)