Hai mera bhai kahan
- Syed Raza Abbas Zaidi (2016)
Wa hijaba wa abbasa..(6)
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
zainab e muztar pukari shamiyo ke darmiya'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
1. Zamine chadar banakar laayi thi ghar se jise
mai sadaye de rahi hu koi batla de use
sar khula hamsheer ka hai hone waali hai azaa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
2. Wo amama ho rida ho sar se nisbat hai use
kaun hai ye saanha batlaye ab zainab kise
bhai ka sar meri chadar hai sare nauke sina
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
3. Haath se chehra chhupau ya ke dhaapu apna sar
tu madad kar ab ghareebo ki khuda e behrobar
haath kab azaad hai bandhi gayi hai rassiya'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
4. Tumko pala hai bade naazo se is dilgeer ne
dediya tha bachpane hi mein mujhe shabbir ne
aye ali akbar bata do tum to na lo imtehaa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
5. Saaqiye kausar ka beta aur saqqa e haram
ye khabar aayi hai uske hogaye baazu qalam
maut hai sar par khadi aur le raha hai hichkiya'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
6. Qabr e asghar ki taraf rukh karke dukhiya ne kaha
ae mere kamsin mujahid ye mere sarki rida
shimr kaise cheen sakta tha jo tum hote jawa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade
7. Roohe zainab aajtak jis ghar pe rehan o raza
dekhti hai parchame abbas par doshe hawa
puchti hai wo kaha'n hai jiska parcham hai nishaa'n
hai mera bhai kaha'n
Meri chadar chhin rahi hai, karbala mein nagaha
hai mera bhai kaha'n
Mere ghazi tu meri chadar laade..(2)