Sab ke bas ki baat nahi

- Ali Safdar (2016)


Zikr e ali ka baar uthana
sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana
sab ke bas ki baat nahi

1. Allah, Mohammad aur Ali ne, jab chaha ye kaam kiya..(2)
maghrib se suraj paltana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

2. Kaun bajuz Allah ali hai, aisa shaja o shareef o kareem..(2)
dushman ko marne se bachana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

3. Amn ki haalat mein to shayad, neend pa bas chal jaaye

magar..(2)
maut ke bistar par sojana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

4. Ahlebait ka daawa hai aur, un hi pe sajta jachta hai..(2)
qabr se jannat tak lejana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

5. Hukm e khuda se uth jaa kehkar, murde jhilate the isa(a.s.)

..(2)
thokar se murdo ko jilana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

6. Ghair e rujul aur beghairat bhi, iske liye banna padhta hai..(2)
rann se alam lekar bhaag aana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

7. Qatl e marhab, fath e khaibar, aur phir darr ko bana lena pul..(2)
kaam hai ye khalis mardana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

8. Marziye dawar aur jina ke, malik hi mangwa sakte hai..(2)
jannat se jode mangwana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

9. Takht e hukoomat, baaghe fidak aur, khums daba le jo chaahe..(2)
apna sab kuch haq pa lutana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

10. Aap pe hai ye sibt e jafar, khaas inayat meysam ki..(2)
madhe ali har jagah sunana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi

11. Hirs o hawas, ghurbat be sabri, maula se na ummeedi..(2)
majlis ka lena nazrana, sab ke bas ki baat nahi
seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi