Har taraf fauje sitamgar

- Matami Sangat Abul Fazl (2015)


Har taraf fauje sitamgar, aur akele hai hussain
sabke haatho mein hai patthar, aur akele hai hussain

1. Teer mehmano ke zakhmo se nikalne hai abhi
waqt kam hai phir bhi kitne kaam karne hai abhi
bekafan laashe bahattar, aur akele hai hussain

2. Lasha e akbar pe akhir kis tarah pohche padar
jis taraf badhte hai maula teer badhte hai udhar
rokne waala hai lashkar, aur akele hai hussain

3. Maa ye khaime se sadaein de rahi hai baar baar
Ya ALI ka naam lekar saath de aye zulfiqaar
khodni hai qabr e asghar, aur akele hai hussain

4. Paara paara kar chuke qur'aan e shabbar ko laee'n
chaar su bikhra hai qasim par kahi'n milta nahi'n
laash hai meelo ke andar, aur akele hai hussain

5. Laashe abbas ran mein dhundhta hai murtajiz
hole hole khud se akbar keh raha hai murtajiz
shimr aa pohcha hai sar par, aur akele hai hussain