Humne aqeedato ka saleeqa bhula diya

- Ali Deep Rizvi (2016)


Humne aqeedato ka (saleeqa bhula diya)..(2)
farshe aza ko khel (tamasha bana diya)..(2)
Humne aqeedato ka (saleeqa bhula diya)..(2)

1. Mimbar pe khel hota hai zikre hussain se..(2)
kuch waizo ne humko to (ruswa kara diya)..(2)

2. Apna liye hai saare tareeqe yazid ke..(2)
darse husainiyat ko to (humne bhula diya)..(2)

3. Maqsad ghume hussain manana tha momino..(2)
is ghum ko aaj humne (dikhawa bana diya)..(2)

4. Naamo ke saath saath laqab hai bohot bade..(2)
kirdaar kuch nahi hai ye (sabko dikha diya)..(2)

5. Shohrat ki hawis naam ke talib hai ye sab log..(2)
ghum sayyeda ke laal ka (dil se bhula diya)..(2)

6. Ankho mein ehteraam na, tazeem na adab..(2)
har be adab ko shaere (aazam bana diya)..(2)

7. Milta hai ishtehaar mein payso ke awiz naam..(2)
humne zameer is tarah (apna gawa diya)..(2)

8. Milad o manqabat mein ghina ka gumaan ho..(2)
mahaul padhne walo ne (kaisa bana diya)..(2)

9. Masjid khuda ka ghar hai nahi zaati jayedaad..(2)
lekin ijara daari ka (markaz bana diya)..(2)

10. Ek dusre ko neecha dikhane mein hai magan..(2)
ankho se humne sharm ka (parda gira diya)..(2)

11. Gheebat munafiqat ko hai apna liya magar..(2)
momin ka tarz e zindagi (dilse bhula diya)..(2)

12. Socho imam e waqt ko kya doge tum jawab..(2)
ae waizo jo puchenge (paigham kya diya)..(2)

13. Puchegi aanewali har ek nasl ye sawaal..(2)
humne ghume hussain ka (haq kya adaa kiya)..(2)

14. Aansu ka ek qatra hai pursa hussain ka..(2)
humne to ali deep ye (sabko bata diya)..(2)