Paon mein bediya pehne

- Miscellaneous (2014)


Paon mein bediya'n pehne hue beemar chala, mera beemar chala..(2)
sar jhukaye hue sarwar ka azadaar chala, mera beemar chala..(2)

1. Tauq se jakda kahi'n par kahi'n durro'n ki saza
har sitam sehta hua..(3)
dee'n bachane ke liye deen ka sardaar chala
mera beemar chala

2. Maae'n behne sare bazaar rasan basta hai
haye asurda hai..(3)
bayn karta hua is ghum mein giraftar chala
mera beemar chala

3. Saath hai ehle haram sar pe ridae'n bhi nahi
zulm karte hai laee'n..(3)
khoon aankho'n se bahata hua khuddar chala
mera beemar chala

4. Chil gaye chaale lahu behne laga zakhmo se
ashk e ghum aankho'n se..(3)
raahe purkhaar pe shabbir ka dildaar chala
mera beemar chala

5. Bediya paaon mein pad pad ke buka karti hai
ye sadaa karti hai..(3)
shaane atlaaf liye sahibe qirdaar chala
mera beemar chala

6. Tegh khaiche hue laakho the sitamgaar magar
phir bhi be khauf o khatar..(3)
misle abbas alamdaar wo jee daar chala
mera beemar chala

7. Warm hai payro pe aur khaak padi hai sarr mein
kyu na faryaad kare..(3)
haye kis haal mein wo bekaso lachaar chala
mera beemar chala

8. Ek ek gaam pe aati thi sadaa ye gauhar
marhaba sheh ke pisar..(3)
deen kadmo se tere janibe deedar chala
mera beemar chala