Kehti hai khud amariya

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2016)

KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)
ZAINAB WATAN ME AAYI HAI SHABBIR KE BAGHAIR
KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)

1.ASGHAR KE INTEZAAR ME SUGHRA KO KYA KHABAR (2)
MAA KARBALA SE AAYI HAI BE’SHEER KE BAGHAIR
KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)

2.UMMUL BANEEN SUNTI HAI HAAL APNE LAAL KA (2)
KYUN KAR LADA LAYEENON SE SHAMSHEER KE BAGHAIR
KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)

3.NANA HAMARI PEET PE DURRO’N KE YE NISHAA’N (2)
KHATRE KITAABE DAUR HAI TEHREER KE BAGHAIR
KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)

4.NANA UTHA JANAZA MERI MAA KA RAAT ME (2)
BALWE ME THI MAI CHAADAR-O-TAUQEER KE BAGHAIR
KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)

5. UMMUL BANEEN SUNTI HAI HAAL APNE LAAL KA (2)
KYUN KAR LADA LAYEENON SE SHAMSHEER KE BAGHAIR
KEHTI HAI KHUD AMAARIYAAN TAQREER KE BAGHAIR (2)

6.AABID THA, IS TARHA THI MUSALSAL YE BEDIYAAN (2)
AB PAA’ON THAR THARATE HAIN ZANJEER KE BAGHAI