Qabr e asghar ki tarah

- Hashmi Sisters (2014)


Haye sakina..haye sakina
qabr e asghar ki tarah..(2)
qabr na ujde meri
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

Aakhri hichkiyo mein baali sakina ne kaha
misle besheer na..(2), tadpe kahi laasha mera
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

1. Karbala mein jo banai thi lehed baba ne
usko bhi dasht mein rehne na diya aada ne
mere shish maah ka..(2), sar hogaya laashe se juda
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

2. Shab ko daadi ki tarah mera janaza utthe
shaam walo ki nigaaho ka bhi saaya na pade
laake rakh de na..(2), lahad par meri chadar bhaiyya
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

3. Naam abbas ka likh dena lahad par bhai
taake dekhe na koi aankh uthakar bhai
shaam ke log ye..(2), samjhe ke hai maujood chacha
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

4. Uska sar phool sa kumbla tha raha naize par
mujhko baandha gai mai roti rahi naaqe par
haaye roti rahi..(2), pardes mein maa ki mamta
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

5. Apne shabbir ki mehfooz amanat rakhna
mere malik meri turbat ko salamat rakhna
waasta deti hu..(2), ya rab mai tujhe zahra ka
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

6. Mere besheer ki gardan pe laga teer e sitam
ghut gaya zulm ki rassi mein ulajh kar mera dumm
zakhm dono ke..(2), barabar magar andaaz juda
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

7. Saari duniya ko rulayegi ye ghurbat meri
haa isi qaid mein banjayegi turbat meri
mai wo qaidi hu..(2), jo ho paayi na markar bhi reha
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri

8. Rukhsat e ehle haram shaam se kya likhu nigaar
hashmi behno ki socho mein hai bus ek pukaar
jaise aati ho..(2), kisi qabr se ab tak ye sadaa
qabr e asghar ki tarah qabr na ujde meri