Pehra badal lijiye

- Shahid Baltistani (2009)


Shaam e ghurbat..(2)
hai ummul masaeb laqab aapka
to mai bint e mazloom e karbobala
tamache lage mera daaman jala
magar dil ko ghum hai to is baat ka
kai roz se aap soyi nahi
ke baba ko jee bhar ke royi nahi..(2)
sakina ye kehti rahi raat bhar, phuphi mujhse pehra badal lijiye

Zara der ghazi mujhe maankar, phuphi mujhse pehra badal lijiye
sakina ye kehti rahi raat bhar, phuphi mujhse pehra badal lijiye

1. Batate the daadi ki baatein mujhe
sulate the baba bade pyaar se
magar chand lamho ke is waqt ne
mujhe rann mein itne tamache lage
ke ab shamiyo ka nahi koi darr
phuphi mujhse pehra badal lijiye

2. Najaf ki taraf dekhiye to zara
ye taapo ki aati hai kaisi sada
bhala kis tarah saamne jayengi
phuphi aapki chinn gayi hai rida
wo dekhe koi aa raha hai idhar
phuphi mujhse pehra badal lijiye

3. Koi teer chupkar chala de kahi'n
phuphi zalimo ka bharosa nahi
qasam khake kehti hu besheer ki
mai gardan pe rokungi teer e laee'n
ke ab aagaya hai mujhe ye hunar
phuphi mujhse pehra badal lijiye

4. Mai karti hu pehre ki zidd is liye
sina par shaheedo ke sar hai rakhe
zara der to door se hi sahi
nazar aa hi jayenge baba mujhe
nigaaho se chumungi baba ka sarr
phuphi mujhse pehra badal lijiye

5. Ye akbar guzarish thi masoom ki
meri kamsini ko na dekhe phuphi
abhi apne bhai ko ro lijiye
hume kal se mohlat na denge shaqi
qareeb aane wala hai waqt e sahar
phuphi mujhse pehra badal lijiye