Ghar loot gaya babajaan

- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2015)



Ghar loot gaya babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Mai bhi khadi, roti rahi, khaima jala babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Baba mujhe kuch nhi thi khabar
Mujhko phirayege wo nangge sir - 2
Baazar me, darbaar me, sir tha khula babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Apne liye kuch nhi gham mujhe
Main puchti hu faqat aapse - 2
Khoon me ye tar, zakhmi ye sir, kaise hua babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Baba hai q hoot sukhe hue
Aankho me q hai ye halqe pade - 2
Lab khol do, kuch bol do, uttho zara babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Baba mere kaan dekho zara
Ab tak lahu bhi nhi hai ruka - 2
Bunde mere, khaiche gye, wo zulm tha babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Baba tamaache bahut khai hu
Har gaam royi hu chillaie hu - 2
Itne nishan, or hichkiyan, ye thi saza babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Main kya batau jo baad aapke
Mujhpr mazalim wo dhaye gye - 2
Rassi me tha, jakda hua, mera gala babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Thi ek rasan or baarah gale
Phupphiyo k the usme shane bandhe - 2
Sub bibiyan, jaye kahan, ye thi sada babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2

Padhkar nawaz or aadeeb uska gham
Roye shabaab aaj ehle kalam - 2
Nauha mera, jab b suna, dil hil gya babajaan
Qaidi bane dar dar phire 
Ghar loot gaya babajaan - 2