Karam ki inteha hai fatema
- Nadeem Sarwar (2012)
Ya sayyedati, ya maulati
ya fatima bint e mohammad agisini..(2)
ya fatima zehra, ya fatema zehra..(6)
Jo puchiye ke kya hai fatema..(2) fatema
karam ki inteha hai fatema..(3)
Hijab e kibriyai hai..(2)
kisi ki kab rasai hai
ke parda e khuda hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
1. Wo shamil e durood hai
wo dakhil e durood hai
wo manzil e durood hai
wo qabil e durood hai
wo hasil e durood hai..(2)
wo hamil e durood hai
ke markaze kisa hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
2. Ayaa'n hai wo, nehaa hai wo
zamaa hai wo, makaa'n hai wo
sadaa e kunfakaa'n hai wo
jaha'n khuda waha'n hai wo
zamee'n hai aadmee ki maa..(2)
zameen ki bhi maa hai wo
ke fatir-us-sama hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
3. Jo panjetan simat gaye
to ek zaat ban gayi
wo ek zaat phail kar
ye kayenaat ban gayi
ye kayenaat saj gayi..(2)
har ek baat ban gayi
pata chala ke kya hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
4. Wo qaul hai, muqala hai
wo maadin e risala hai
ali ki hum niwala hai
ali ki hum piyala hai
hussain ka hawala hai..(2)
hasan ko jisne paala hai
wo paak sayyeda hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
5. Risalatein, wilayatein
imamatein, hidayatein
sharafatein, najabatein
taharatein, shahadatein
karamatein, sadaqatein..(2)
ibadatein, riyazatein
inhi ka to sira hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
6. Wo jalwa e ghayaab hai
wo noor ki kitaab hai
khuda ka wo hijaab hai
khuda ka wo naqaab hai
ke juzz nabi o juzz ali..(2)
kaha'n kisi ko taab hai
khuda ka aaina hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
7. Usi ke hai ye behr o barr
usi ke hai ye khushk o tarr
usi ke hai shajar hajar
usi ke hai gul o samar
karu kuch aur mukhtasar..(2)
khuda to wo nahi magar
khuda se kab juda hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
8. Meri sada sun ae khuda
dilo mein sabke noor rakh
ke sarwar o naved ko
munafeqat se door rakh(2)
ke hazir o huzoor rakh
hamara wasta hai fatema
karam ki inteha hai fatema..(2)
ya fatima bint e mohammad agisini..(2)
agisini, agisini, agisini