Mai zehra binte mustafa
- Raza Haider (2009)
(Ya Zahra) x2
Jub adalat lage gii hashar ke din
Kursiye adl per khuda hoga
Rabb e kabba ke samne uss dum
Istaghasa batool ka ho gaa
Aey palne wale dunya ke
Faryad ye sun le zehra se
(Main Zehra binte Mustafa) x3
(Baba pe mujhe rone naa diya) x2
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
1. (Mere laal Hassan ko zeher diya, Tukdo'n me kaleja kat ke gira) x2
Mujhe chayn lahad mein mil na saka,
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
2. (Sajde mein Ali per tegh chali, Mismaar hui turbat meri) x2
Marqad pe meri saaya na raha
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
3. (Seene pe jo mere sota tha, Shabbir mera nazo'n ka pala) x2
Seh roz usey paani na mila
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
4. (Ye do baazu jo laayi hoon, Faryad sunane aayi hoon) x2
Kuch bhi to na thi ghazi ki khata
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
5. (Haq mera mujh se cheen liya, Pehloo pe giraya darwaza) x2
Baba ka padha mere kalma
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
6. (Meri zainab koofa sham gai, Lekar dee'n ka paighaam gai) x2
Kyu cheeni gai Zainab ki rida
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
7. (Rassi mein Sakina ka tha gala, Kano se lahoo bhi jaari tha) x2
Durre bhi lage daman bhi jala
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2
8. (Darbare khuda mein ro ro kar, Hasnain ki Zainab ki madar) x2
Kehti ye rahi “rehan o raza”
Kyu mujh pe sitam ummat ne kiye
(Main Zehra binte Mustafa) x2